Unko ye shikaayat hai ke ham kuchh naheen kahte

उनको ये शिकायत है के हम कुछ नहीं कहते
Work
Year
Language

उन को ये शिकायत है के हम कुछ नहीं कहते
अपनी तो ये आदत है के हम कुछ नहीं कहते

मजबूर बहोत करता है ये दिल तो ज़ुबान को
कुछ ऐसी ही हालत है के हम कुछ नहीं कहते

कहने को बहोत कुछ था अगर कहने पे आते
दुनिया की इनायत है के हम कुछ नहीं कहते

कुछ कहने पे तूफान उठा लेती है दुनिया
अब इस पे कयामत है के हम कुछ नहीं कहते

un ko ye śhikāyat hai ke ham kuchh nahīṅ kahte
apnī to ye ādat hai ke ham kuchh nahīṅ kahte

majbūr bahot kartā hai ye dil to zubān ko
kuchh aisī hī hālat hai ke ham kuchh nahīṅ kahte

kahne ko bahot kuchh thā agar kahne pe āte
duniyā kī ināyat hai ke ham kuchh nahīṅ kahte

kuchh kahne pe tūphān uṭhā letī hai duniyā
ab is pe kayāmat hai ke ham kuchh nahīṅ kahte