उनके खयाल आए तो आते चले गए
उन के ख़याल आये तो आते चले गए
दीवाना जिंदगी को बना के चले गए
जो सांस आ रहा है किसी का पयाम है
बेताबियों को और बढ़ाते चले गए
इस दिल से आ रही है किसी यार की सदा
वीरान मेरा दिल था, बसा के चले गए
होश-ओ-हवास पे मेरे बिजली सी गिर पड़ी
मस्ती भरी नज़र से पिलाते चले गए
un ke khayāl āye to āte chale gae
dīvānā jiṅdgī ko banā ke chale gae
jo sāṅs ā rahā hai kisī kā payām hai
betābiyoṅ ko aur baṛhāte chale gae
is dil se ā rahī hai kisī yār kī sadā
vīrān merā dil thā, basā ke chale gae
hośh-o-havās pe mere bijlī sī gir paṛī
mastī bharī nazar se pilāte chale gae