Unhen kho kar dukhee dil kee duaa se aur k‌yaa maangoon

उन्हें खो कर दुखी दिल की दुआ से और क्‌या माँगूँ
Work
Year
Language

उन्हें खोकर दुखी दिल की दुआ से और क्‌या माँगूँ
मैं हैरां हूँ कि आज अपनी वफ़ा से और क्‌या माँगूँ

गिरह्बां चाक है, आँखों में आँसू
लब पे आहें हैं -2
यही काफ़ी है, दुनिया की हवा से और माँगूँ
उन्हें खोकर …

मेरी बर्बादियों की दास्तां, उन तक पहुंच जाए
सिवा इसके मोहब्बत के ख़ुदा से और क्‌या माँगूँ
उन्हें खोकर …

unheṅ khokar dukhī dil kī duā se aur k‌yā māṇgūṇ
maiṅ hairāṅ hūṇ ki āj apnī vafā se aur k‌yā māṇgūṇ

girahbāṅ chāk hai, āṇkhoṅ meṅ āṇsū
lab pe āheṅ haiṅ -2
yahī kāfī hai, duniyā kī havā se aur māṇgūṇ
unheṅ khokar …

merī barbādiyoṅ kī dāstāṅ, un tak pahuṅch jāe
sivā iske mohabbat ke khudā se aur k‌yā māṇgūṇ
unheṅ khokar …