उन्हें भी राज़-ए-उल्फ़त की न होने दी ख़बर मैं ने
उन्हें भी राज़-ए-उल्फ़त की ना होने दी ख़बर मैं ने
नज़र मिल भी गई तो ख़ुद बचा ली है नज़र मैं ने
क़दम जब मैं ने रखा राह-ए-उल्फ़त में तो दुनिया ने
मुझे आवाज़ दी लेकिन ना देखा चौंक कर मैं ने
भला ग़ैरों से क्या मतलब जो मैं उन से गिल करता
शिकायत तुम से की है तुम को अपना जान कर मैं ने
कहाँ मैं और कहाँ दैर-ओ-हरम की कशमकश नख़्शाब
किसी के नक़्श-ए-पा पर रख दिया जब आज सर मैं ने
unheṅ bhī rāz-e-ulfat kī nā hone dī khabar maiṅ ne
nazar mil bhī gaī to khud bachā lī hai nazar maiṅ ne
qadam jab maiṅ ne rakhā rāh-e-ulfat meṅ to duniyā ne
mujhe āvāz dī lekin nā dekhā chauṅk kar maiṅ ne
bhalā ġhairoṅ se kyā matalab jo maiṅ un se gil kartā
śhikāyat tum se kī hai tum ko apnā jān kar maiṅ ne
kahāṇ maiṅ aur kahāṇ dair-o-haram kī kaśhamkaśh nakhśhāb
kisī ke naqśh-e-pā par rakh diyā jab āj sar maiṅ ne