Ummeed kee jholee men

उम्मीद की झोली में
Work
Year
Language

मेरे खेवनहार क्‌यूं मुझे छोड चले मजधार
मेरे खेवनहार …

उम्मीद की झोली में क्‌यों भर दिये अंगारे
भला क्‌यों भर दिये
उम्मीद की झोली में क्‌यों भर दिये अंगारे
भला क्‌यों भर दिये

मूंह मोड़ के दुनिया से, ठुकराके ज़माने को
आये थे मुहब्बत की तक़दीर बनाने को
उम्मीद की झोली में …

मजबूर थे पहले ही, नाशाद थे पहले ही
तेरी ही क़सम हम तो बरबाद थे पहले ही
उम्मीद की झोली में …

मर मर के जिये अब तक हम तेरे सहारे पर
मालूम न था कश्ती डूबेगी किनारे पर
उम्मीद की झोली में …

ओऽऽओऽओऽओ

mere khevanhār k‌yūṅ mujhe chhoḍ chale majdhār
mere khevanhār …

ummīd kī jholī meṅ k‌yoṅ bhar diye aṅgāre
bhalā k‌yoṅ bhar diye
ummīd kī jholī meṅ k‌yoṅ bhar diye aṅgāre
bhalā k‌yoṅ bhar diye

mūṅh moṛ ke duniyā se, ṭhukrāke zamāne ko
āye the muhabbat kī taqdīr banāne ko
ummīd kī jholī meṅ …

majbūr the pahle hī, nāśhād the pahle hī
terī hī qasam ham to barbād the pahle hī
ummīd kī jholī meṅ …

mar mar ke jiye ab tak ham tere sahāre par
mālūm na thā kaśhtī ḍūbegī kināre par
ummīd kī jholī meṅ …

o''o'o'o