Ulfat ke hain kaam niraale

उल्फ़त के हैं काम निराले
Work
Year
Language

हस्रत-ओ-यास को ले कर शब-ए-ग़म आई है
भीड़ की भीड़ है, तनहाई ही तनहाई है

उल्फ़त के हैं काम निराले
बन बन के बिगड़ जाते हैं
क़िस्मत में न हो तो साथी
मिल मिल के बिछड़ जाते हैं
उल्फ़त के हैं …

( उम्मीदें भी हैं इक सपना
दुनिया में नहीं कुच अपना ) -2
आँसू हैं तो बह जाते हैं
अरमाँ है तो ? जाते हैं
उल्फ़त के हैं …

( आवाज़ उठी है दिल से
बेदर्द ज़माने सुन ले ) -2
कल तू भी उजड़ जायेगा
हम आज उजड़ जाते हैं
उल्फ़त के हैं …

hasrat-o-yās ko le kar śhab-e-ġham āī hai
bhīṛ kī bhīṛ hai, tanhāī hī tanhāī hai

ulfat ke haiṅ kām nirāle
ban ban ke bigaṛ jāte haiṅ
qismat meṅ na ho to sāthī
mil mil ke bichhaṛ jāte haiṅ
ulfat ke haiṅ …

( ummīdeṅ bhī haiṅ ik sapnā
duniyā meṅ nahīṅ kuch apnā ) -2
āṇsū haiṅ to bah jāte haiṅ
armāṇ hai to ? jāte haiṅ
ulfat ke haiṅ …

( āvāz uṭhī hai dil se
bedard zamāne sun le ) -2
kal tū bhī ujaṛ jāyegā
ham āj ujaṛ jāte haiṅ
ulfat ke haiṅ …