Tumse bichharkar tumko bhulaanaa, mumkin hai aasaan naheen

तुमसे बिछड़कर तुमको भुलाना, मुमकिन है आसान नहीं
Work
Year
Language

तुमसे बिछड़कर तुमको भुलाना, मुमकिन है आसान नहीं
दीवाने दिल को समझाना, मुमकिन है आसान नहीं
सदियोंसे ये रस्म है जारी, जुर्म है दुनियाँ में दिलदारी
ऐसी दुनियाँ से टकराना, मुमकिन है आसान नहीं
चाहत पर पाबंदी क्यों है, दुनिया इतनी अंधी क्यों है
अंधों में अंधा बन जाना, मुमकिन है आसान नहीं
कश्ती यूँ ही चलेगी कब तक, उलटी गंगा बहेगी कब तक
खोये हुये को फिर से खोना, मुमकिन है आसान नहीं
तेरे मेरे बीच की दूरी, क्यों दोनों की है मजबुरी
दूरी की दीवार गिराना, मुमकिन है आसान नहीं

tumse bichhaṛkar tumko bhulānā, mumkin hai āsān nahīṅ
dīvāne dil ko samjhānā, mumkin hai āsān nahīṅ
sadiyoṅse ye rasm hai jārī, jurm hai duniyāṇ meṅ dildārī
aisī duniyāṇ se ṭakrānā, mumkin hai āsān nahīṅ
chāhat par pābaṅdī kyoṅ hai, duniyā itnī aṅdhī kyoṅ hai
aṅdhoṅ meṅ aṅdhā ban jānā, mumkin hai āsān nahīṅ
kaśhtī yūṇ hī chalegī kab tak, ulṭī gaṅgā bahegī kab tak
khoye huye ko phir se khonā, mumkin hai āsān nahīṅ
tere mere bīch kī dūrī, kyoṅ donoṅ kī hai majburī
dūrī kī dīvār girānā, mumkin hai āsān nahīṅ