Tumhen baaghon men saavan men nazaare yaad karte hain

तुम्हें बाग़ों में सावन में नज़ारे याद करते हैं
Work
Year
Language

तुम्हें बाग़ों में सावन में नज़ारे याद करते हैं
चले आओ तुम्हें आँसू हमारे याद करते हैं

बहारें पूछती हैं मेरी आँखों से पता तेरा
चमन में फूल तुझको प्यारे-प्यारे याद करते हैं

पपीहे पी-पी कह के गीत अक्‌सर भूल जाते हैं
तुम्हें रो-रो के जब हम ग़म के मारे याद करते हैं

वही नज़रें जिन्हें तुमने कभी उल्फ़त सिखाई थी
उन्हीं मासूम नज़रों के इशारे याद करते हैं

tumheṅ bāġhoṅ meṅ sāvan meṅ nazāre yād karte haiṅ
chale āo tumheṅ āṇsū hamāre yād karte haiṅ

bahāreṅ pūchhtī haiṅ merī āṇkhoṅ se patā terā
chaman meṅ phūl tujhko pyāre-pyāre yād karte haiṅ

papīhe pī-pī kah ke gīt ak‌sar bhūl jāte haiṅ
tumheṅ ro-ro ke jab ham ġham ke māre yād karte haiṅ

vahī nazreṅ jinheṅ tumne kabhī ulfat sikhāī thī
unhīṅ māsūm nazroṅ ke iśhāre yād karte haiṅ