Tumhaaree nazron men ham ne dekhaa

तुम्हारी नज़रों में हम ने देखा
Year
Language

तुम्हारी नज़रों में हम ने देखा
अजब सी चाहत झलक रही हैं
तुम्हारे होठों की सुर्खियों से - 2
वफ़ा की शबनम झलक रही हैं

तुम्हारी नज़रों …
अजब सी …
हमारी सांसों को छू के देखो
तुम्हारी खुशबू महक रही है

क़सम खुदा की यक़ीं करलो
कहीं भी ना होगा हुस्न ऐसा
न देखो ऐसे झुका के पलकें - 2
हमारी नीयत बहक रही हैं

तुम्हारी नज़रों …
अजब सी …
तुम्हारी उल्फ़त में जानेजाना
हमें मिली थी जो एक धड़कन
हमारे सीने में आज तक वो - 2
तुम्हारी धड़कन धड़क रही हैं

तुम्हारी नज़रों …
अजब सी …

tumhārī nazroṅ meṅ ham ne dekhā
ajab sī chāhat jhalak rahī haiṅ
tumhāre hoṭhoṅ kī surkhiyoṅ se - 2
vafā kī śhabnam jhalak rahī haiṅ

tumhārī nazroṅ …
ajab sī …
hamārī sāṅsoṅ ko chhū ke dekho
tumhārī khuśhbū mahak rahī hai

qasam khudā kī yaqīṅ karlo
kahīṅ bhī nā hogā husn aisā
na dekho aise jhukā ke palkeṅ - 2
hamārī nīyat bahak rahī haiṅ

tumhārī nazroṅ …
ajab sī …
tumhārī ulfat meṅ jānejānā
hameṅ milī thī jo ek dhaṛkan
hamāre sīne meṅ āj tak vo - 2
tumhārī dhaṛkan dhaṛak rahī haiṅ

tumhārī nazroṅ …
ajab sī …