Tumhaare pyaar men ham ... shikaar karne ko aae

तुम्हारे प्यार में हम ... शिकार करने को आए
Work
Year
Language

तुम्हारे प्यार में हम बेक़रार हो के चले
शिकार करने को आए शिकार हो के चले
शिकार करने को …

तुम्हें क़रीब से देखा तो दिल को हार दिया
तुम्हारी शोख़ अदा ने हमें तो मार दिया
हर एक बात पे हम तो निसार हो के चले
शिकार करने को …

तुम्हारी आँख मोहब्बत की बात कहती है
तुम्हें भी किसी की तलाश रहती है
ये राज़ जान गए राज़दार हो के चले
शिकार करने को …

न अपना होश न अपनी ख़बर कहाँ हैं हम
इसी का नाम मोहब्बत है ऐ मेरे हमदम
तुम्हारे कूचे से दीवानावार हो के चले
शिकार करने को …

tumhāre pyār meṅ ham beqrār ho ke chale
śhikār karne ko āe śhikār ho ke chale
śhikār karne ko …

tumheṅ qarīb se dekhā to dil ko hār diyā
tumhārī śhokh adā ne hameṅ to mār diyā
har ek bāt pe ham to nisār ho ke chale
śhikār karne ko …

tumhārī āṇkh mohabbat kī bāt kahtī hai
tumheṅ bhī kisī kī talāśh rahtī hai
ye rāz jān gae rāzdār ho ke chale
śhikār karne ko …

na apnā hośh na apnī khabar kahāṇ haiṅ ham
isī kā nām mohabbat hai ai mere hamdam
tumhāre kūche se dīvānāvār ho ke chale
śhikār karne ko …