Tumhaaraa chaahne vaalaa khudaa kee duniyaa men

तुम्हारा चाहने वाला खुदा की दुनिया में
Year
Language

(तुम्हारा चाहने वाला खुदा की दुनिया में
मेरे सिवा भी कोई और हो खुदा ना करे ) - 2
तुम्हारा चाहने वाला …

ये बात कैसे गवारा करेगा दिल मेरा
तुम्हारा ज़िक्‌र किसी और की ज़ुबान पे हो
तुम्हारे हुस्न की तारीफ़ आईना भी करे
तो मैं तुम्हारी क़सम है के तोड़ दूँ उसको
तुम्हारे प्यार तुम्हारी अदा का दीवाना
मेरे सिवा भी कोई और हो खुदा ना करे
तुम्हारा चाहने वाला …

वो दिन ना आये के मुझसे कभी जुदा होकर
किसी का प्यार दोबारा कहीं तलाश करो
झुका के सर को किसी अजनबी के शानों पर
तुम अपने ग़म का सहारा कहीं तलाश करो
करीब दिल के तुम्हारे किसी भी हालत में
मेरे सिवा भी कोई और हो खुदा ना करे
तुम्हारा चाहने वाला …

आशा: तुम्हारे दिल को कहीं मुझसे कभी ठेस लगे
मुझे यकीन है ऐसा कभी नहीं होगा
मुझे वफ़ाओं पे अपनी बड़ा भरोसा है
तुम्हारा प्यार ही दे जाये ना कहीं धोखा
दुआ ये है के तुम्हारा खुदा की दुनिया में
मेरे सिवा भी कोई और हो खुदा ना करे
तुम्हारा चाहने वाला …

(tumhārā chāhne vālā khudā kī duniyā meṅ
mere sivā bhī koī aur ho khudā nā kare ) - 2
tumhārā chāhne vālā …

ye bāt kaise gavārā karegā dil merā
tumhārā zik‌ra kisī aur kī zubān pe ho
tumhāre husn kī tārīf āīnā bhī kare
to maiṅ tumhārī qasam hai ke toṛ dūṇ usko
tumhāre pyār tumhārī adā kā dīvānā
mere sivā bhī koī aur ho khudā nā kare
tumhārā chāhne vālā …

vo din nā āye ke mujhse kabhī judā hokar
kisī kā pyār dobārā kahīṅ talāśh karo
jhukā ke sar ko kisī ajanbī ke śhānoṅ par
tum apne ġham kā sahārā kahīṅ talāśh karo
karīb dil ke tumhāre kisī bhī hālat meṅ
mere sivā bhī koī aur ho khudā nā kare
tumhārā chāhne vālā …

āśhā: tumhāre dil ko kahīṅ mujhse kabhī ṭhes lage
mujhe yakīn hai aisā kabhī nahīṅ hogā
mujhe vafāoṅ pe apnī baṛā bharosā hai
tumhārā pyār hī de jāye nā kahīṅ dhokhā
duā ye hai ke tumhārā khudā kī duniyā meṅ
mere sivā bhī koī aur ho khudā nā kare
tumhārā chāhne vālā …