Tum zaraa see baat par khafaa na ho

तुम ज़रा सी बात पर खफ़ा न हो
Work
Year
Language

सु: तुम ज़रा सी बात पर खफ़ा न हो
तू मेरा दिलरुबा है मैं तेरी दिलरुबा
माफ़ कर दो मेरी खता जो भी हो

र: दिल दिया है अब जो भी हो सो हो
लाख हों सितम हम तो ए सनम
हाँ कहेंगे सर झुका के जो कहो
सु: तुम ज़रा सी बात पर …

दर्द बन के मेरे दिल में आए हो
बादलों में बिजलियाँ भी लाए हो
र: बिजलियाँ नहीं दिल की आग है
तेरे हुस्न का ये सुहाग है
जो है तेरा आज तू भी उसकी हो

प्यार घटाओं में चाँद तू
ले उड़ी हाँ ये तेरी आरज़ू
सु: यह बताओ क्‌या दिल जलाओगे
या मेरी लगी तुम बुझाओगे
मीठे-मीठे बोल बोल एक दो

सुन के तेरी ये नशीली रागिनी
झूमती है मेरे दिल में चाँदनी
र: एक बात है आज पूछ लूँ
जाने फिर कभी मैं कह सकूँ
एक जान हो के हम क्‌यों हैं दो
दिल दिया है …

su: tum zarā sī bāt par khafā na ho
tū merā dilrubā hai maiṅ terī dilrubā
māf kar do merī khatā jo bhī ho

ra: dil diyā hai ab jo bhī ho so ho
lākh hoṅ sitam ham to e sanam
hāṇ kaheṅge sar jhukā ke jo kaho
su: tum zarā sī bāt par …

dard ban ke mere dil meṅ āe ho
bādloṅ meṅ bijliyāṇ bhī lāe ho
ra: bijliyāṇ nahīṅ dil kī āg hai
tere husn kā ye suhāg hai
jo hai terā āj tū bhī uskī ho

pyār ghaṭāoṅ meṅ chāṇd tū
le uṛī hāṇ ye terī ārazū
su: yah batāo k‌yā dil jalāoge
yā merī lagī tum bujhāoge
mīṭhe-mīṭhe bol bol ek do

sun ke terī ye naśhīlī rāginī
jhūmtī hai mere dil meṅ chāṇdnī
ra: ek bāt hai āj pūchh lūṇ
jāne phir kabhī maiṅ kah sakūṇ
ek jān ho ke ham k‌yoṅ haiṅ do
dil diyā hai …