Tum-tum taraaraa ... chanaa jor garam baaboo

तुम-तुम तरारा ... चना जोर गरम बाबू
Work
Year
Language

ल: तुम-तुम तरारा तुम-तुम तरम
कि: तुम-तुम तरारा तुम-तुम तरम
ल: तुम-तुम तरम-तरम
कि: तुम-तुम तरम-तरम
दो: दुनिया के हों लाख धरम पर अपना एक धरम
चना ज़ोर गरम
ल: चना ज़ोर गरम बाबू मैं लाई मज़ेदार
चना ज़ोर गरम
कि: चना ज़ोर गरम बाबू मैं लाया मज़ेदार
चना ज़ोर गरम

ल: मेरा चना बना है आला जिसमें डाला गरम-मसाला
इसको खाएगा दिलवाला चना ज़ोर गरम
कि: मेरा चना खा गया गोरा-गोरा
खा के बन गया तगड़ा घोड़ा
मैने पकड़ के उसे मरोड़ा
मार के टंगड़ी उसको तोड़ा
चना ज़ोर गरम
चना ज़ोर गरम बाबू …

ल: मेरे चने की आँख शराबी-शराबी चने की आँख शराबी
हो इसके देखो गाल गुलाबी-गुलाबी देखो गाल गुलाबी
कि: हो इसका कोई नहीं जवाबी जैसे कोई कुड़ी पंजाबी
दो: नाचे छनन-छनन -2
ल: कोठे चढ़ के तैनू पुकारां सुन ले मेरे बलम
चना ज़ोर गरम बाबू …

नि: मेरा चना खा गए गोरे-गोरे
मेरा चना खा गए गोरे ओ गोरे
जो गिनती में थे थोड़े
ओ फिर भी मारें हमको कोड़े
ल: तुम-तुम तरम-तरम
नि: लाखों कोड़े टूटे फिर भी टूटा न दम-खम
चना ज़ोर गरम
चना ज़ोर गरम बाबू …

र: ओ मेरा चना है अपनी मर्ज़ी का
नि: मर्ज़ी का भई मर्ज़ी का
र: मेरा चना है अपनी मर्ज़ी का
नि: मर्ज़ी का भई मर्ज़ी का
र: ये दुश्मन है ख़ुदगर्ज़ी का
ख़ुदगर्ज़ी का
नि: ख़ुदगर्ज़ी का
र: सर क़फ़न बाँध कर निकला है दीवाना है ये पगला है
मेरा चना है अपनी मर्ज़ी का
नि: मर्ज़ी का भई मर्ज़ी का
अपनों से नाता जोड़ेगा ग़ैरों के सर को फोड़ेगा
अपना ये वचन निभाएगा माटी का कर्ज़ चुकाएगा

र: मिट जाने को मिट जाएगा आज़ाद वतन को कराएगा
ल: न तो चोरी है न तो डाका है बस ये तो एक धमाका है
नि: धमाके में आवाज़ भी है
ल: इक सोज़ भी है इक साज़ भी है
कि: समझो तो ये बात साफ़ भी है
ल: और न समझो तो राज़ भी है
र नि: अपनी धरती अपना है गगन ये मेरा है मेरा है वतन -2
इस पर जो आँख उठाएगा ज़िन्दा दफ़नाया जाएगा
र: मेरा चना है अपनी मर्ज़ी का
को: मर्ज़ी का भई मर्ज़ी का
र: ये दुश्मन है ख़ुदगर्ज़ी का
को: ख़ुदगर्ज़ी का ख़ुदगर्ज़ी का

la: tum-tum tarārā tum-tum taram
ki: tum-tum tarārā tum-tum taram
la: tum-tum taram-taram
ki: tum-tum taram-taram
do: duniyā ke hoṅ lākh dharam par apnā ek dharam
chanā zor garam
la: chanā zor garam bābū maiṅ lāī mazedār
chanā zor garam
ki: chanā zor garam bābū maiṅ lāyā mazedār
chanā zor garam

la: merā chanā banā hai ālā jismeṅ ḍālā garam-masālā
isko khāegā dilvālā chanā zor garam
ki: merā chanā khā gayā gorā-gorā
khā ke ban gayā tagaṛā ghoṛā
maine pakaṛ ke use maroṛā
mār ke ṭaṅgaṛī usko toṛā
chanā zor garam
chanā zor garam bābū …

la: mere chane kī āṇkh śharābī-śharābī chane kī āṇkh śharābī
ho iske dekho gāl gulābī-gulābī dekho gāl gulābī
ki: ho iskā koī nahīṅ javābī jaise koī kuṛī paṅjābī
do: nāche chhanan-chhanan -2
la: koṭhe chaṛh ke tainū pukārāṅ sun le mere balam
chanā zor garam bābū …

ni: merā chanā khā gae gore-gore
merā chanā khā gae gore o gore
jo gintī meṅ the thoṛe
o phir bhī māreṅ hamko koṛe
la: tum-tum taram-taram
ni: lākhoṅ koṛe ṭūṭe phir bhī ṭūṭā na dam-kham
chanā zor garam
chanā zor garam bābū …

ra: o merā chanā hai apnī marzī kā
ni: marzī kā bhaī marzī kā
ra: merā chanā hai apnī marzī kā
ni: marzī kā bhaī marzī kā
ra: ye duśhman hai khudgarzī kā
khudgarzī kā
ni: khudgarzī kā
ra: sar qafan bāṇdh kar niklā hai dīvānā hai ye paglā hai
merā chanā hai apnī marzī kā
ni: marzī kā bhaī marzī kā
apnoṅ se nātā joṛegā ġhairoṅ ke sar ko phoṛegā
apnā ye vachan nibhāegā māṭī kā karz chukāegā

ra: miṭ jāne ko miṭ jāegā āzād vatan ko karāegā
la: na to chorī hai na to ḍākā hai bas ye to ek dhamākā hai
ni: dhamāke meṅ āvāz bhī hai
la: ik soz bhī hai ik sāz bhī hai
ki: samjho to ye bāt sāf bhī hai
la: aur na samjho to rāz bhī hai
ra ni: apnī dhartī apnā hai gagan ye merā hai merā hai vatan -2
is par jo āṇkh uṭhāegā zindā dafnāyā jāegā
ra: merā chanā hai apnī marzī kā
ko: marzī kā bhaī marzī kā
ra: ye duśhman hai khudgarzī kā
ko: khudgarzī kā khudgarzī kā