Tum nahin aate ho nahin aao

तुम नहिं आते हो नहिं आओ
Work
Year
Language

तुम नहिं आते हो नहिं आओ
याद से कह दो वो भी न आए
भूलने वाले भूल गए जब
याद कूँ उनकी आ के सताए

लाखों ही अरमाँ आँखों में आए
पानी बना के मैने बहाए
और जो दिल में तड़पते रहे
वो कलेजे में दर्द बना के छिपाए
तुम नहिं आते …

मस्त हवा अब आए न आए
काली घटा अब छाए न छाए
मेरी बला से याद में पी की
कोयल मल्हार गाए न गाए
तुम नहिं आते …

tum nahiṅ āte ho nahiṅ āo
yād se kah do vo bhī na āe
bhūlne vāle bhūl gae jab
yād kūṇ unkī ā ke satāe

lākhoṅ hī armāṇ āṇkhoṅ meṅ āe
pānī banā ke maine bahāe
aur jo dil meṅ taṛapte rahe
vo kaleje meṅ dard banā ke chhipāe
tum nahiṅ āte …

mast havā ab āe na āe
kālī ghaṭā ab chhāe na chhāe
merī balā se yād meṅ pī kī
koyal malhār gāe na gāe
tum nahiṅ āte …