Tum ko fursat ho meree jaan to idhar dekh to lo

तुम को फ़ुर्सत हो मेरी जान तो इधर देख तो लो
Work
Year
Language

तुम को फ़ुर्सत हो मेरी जान तो इधर देख तो लो
चार आँखें न करो, एक नज़र देख तो लो

बात करने के लिए, कौन तुम्हें कहता है
न करो हमसे कोई बात मग़र देख तो लो

अपने बीमार-ए-मोहब्बत की तसल्ली के लिए
हाल-ए-दिल पूछ तो लो, ज़ख़्म-ए-जिगर देख तो लो

दिल-ए-बर्बाद को आबाद करो या न करो
कम से कम तुम मेरा उजड़ा हुआ घर देख तो लो

tum ko fursat ho merī jān to idhar dekh to lo
chār āṇkheṅ na karo, ek nazar dekh to lo

bāt karne ke lie, kaun tumheṅ kahtā hai
na karo hamse koī bāt maġhar dekh to lo

apne bīmār-e-mohabbat kī tasallī ke lie
hāl-e-dil pūchh to lo, zakhm-e-jigar dekh to lo

dil-e-barbād ko ābād karo yā na karo
kam se kam tum merā ujaṛā huā ghar dekh to lo