Tum jo mile aarazoo ko dil kee raah mil gayee

तुम जो मिले आरज़ू को दिल की राह मिल गयी
Work
Year
Language

तुम जो मिले, तुम जो मिले
आरज़ू को दिल्ल की राह मिल गयी
एक आस मिल गयी, रे, इक सलाह मिल गयी
तुम जो मिले …

भोली-भाली धड़कनों का आज ढंग और है
ज़िंदगी वही है ज़िंदगी का रंग और है
आज ढंग और है
अंग अंग झूम उठा जब निगाह मिल गयी
तुम जो मिले …

आज मेरी चूड़ियों के साज़ गुनगुना उठे
जाने कितने ख़्वाब एक साथ मुस्कुरा उठे
आज मुस्कुरा उठे
बचपन से जिस की चाह थी वो चाह मिल गयी
तुम जो मिले …

tum jo mile, tum jo mile
ārazū ko dill kī rāh mil gayī
ek ās mil gayī, re, ik salāh mil gayī
tum jo mile …

bholī-bhālī dhaṛaknoṅ kā āj ḍhaṅg aur hai
ziṅdgī vahī hai ziṅdgī kā raṅg aur hai
āj ḍhaṅg aur hai
aṅg aṅg jhūm uṭhā jab nigāh mil gayī
tum jo mile …

āj merī chūṛiyoṅ ke sāz gungunā uṭhe
jāne kitne khvāb ek sāth muskurā uṭhe
āj muskurā uṭhe
bachapan se jis kī chāh thī vo chāh mil gayī
tum jo mile …