Tum jaan ho dil ho mohabbat ho vafaa tum ho

तुम जान हो दिल हो मोहब्बत हो वफ़ा तुम हो
Work
Year
Language

तुम जान हो दिल हो मोहब्बत हो वफ़ा तुम हो
क़ुर्बान दिल तुम पर मेरे दिल के ख़ुदा तुम हो
क़ुर्बान दिल तुम पर …

लेती हैं तुम्हारा नाम साँसें मेरी सनम
पूजें तुम्हें सुबह-ओ-शाम आँखें मेरी सनम
ना तुमसे मैं हूँ दूर ना मुझसे तुम जुदा हो
क़ुर्बान दिल तुम पर …

मैने तुम्हें पाकर पाया है अपना पता
तस्वीर लगे मेरी चेहरा ये प्यार भरा
मैं जिसमें सूरत देखूं वो आईना तुम हो
क़ुर्बान दिल तुम पर …

tum jān ho dil ho mohabbat ho vafā tum ho
qurbān dil tum par mere dil ke khudā tum ho
qurbān dil tum par …

letī haiṅ tumhārā nām sāṇseṅ merī sanam
pūjeṅ tumheṅ subah-o-śhām āṇkheṅ merī sanam
nā tumse maiṅ hūṇ dūr nā mujhse tum judā ho
qurbān dil tum par …

maine tumheṅ pākar pāyā hai apnā patā
tasvīr lage merī chehrā ye pyār bharā
maiṅ jismeṅ sūrat dekhūṅ vo āīnā tum ho
qurbān dil tum par …