Tum itnaa jo muskuraa rahe ho, k‌yaa gham hai jisko chhupaa rahe ho

तुम इतना जो मुस्कुरा रहे हो, क्‌या ग़म है जिसको छुपा रहे हो
Work
Year
Language

तुम इतना जो मुस्कुरा रहे हो
क्‌या ग़म है जिसको छुपा रहे हो
तुम इतना…

आँखों में नमी हँसी लबों पर
क्‌या हाल है क्‌या दिखा रहे हो
क्‌या ग़म है…

बन जायेंगे ज़हर पीते पीते - (2)
ये अश्क़ जो पीते जा रहे हो
क्‌या ग़म है…

रेखाओं का खेल है मुक़द्दर - (2)
रेखाओं से मात खा रहे हो
क्‌या ग़म है…

tum itnā jo muskurā rahe ho
k‌yā ġham hai jisko chhupā rahe ho
tum itnā…

āṇkhoṅ meṅ namī hṇsī laboṅ par
k‌yā hāl hai k‌yā dikhā rahe ho
k‌yā ġham hai…

ban jāyeṅge zahar pīte pīte - (2)
ye aśhq jo pīte jā rahe ho
k‌yā ġham hai…

rekhāoṅ kā khel hai muqaddar - (2)
rekhāoṅ se māt khā rahe ho
k‌yā ġham hai…