Tum chaand se haseen ho

तुम चाँद से हसीन हो
Year
Language

तुम चाँद से हसीन हो तारों से पूछ लो
फूलों से खूबरू हो बहारों से पूछ लो

क्‌यों देखती है मेरी नज़र तुमको बार बार
अपनी नज़र के शोख इशारों से पूछ लो

क़िसमत मे हो जुदाई तो कैसे मिलाप हो
बहती नदी के दोनों किनारों से पूछ लो

कुछ आँसुओं से पूछ लो उल्फ़त की तल्खियाँ
कुछ बदनसीब प्यार के मारों से पूछ लो

tum chāṇd se hasīn ho tāroṅ se pūchh lo
phūloṅ se khūbrū ho bahāroṅ se pūchh lo

k‌yoṅ dekhtī hai merī nazar tumko bār bār
apnī nazar ke śhokh iśhāroṅ se pūchh lo

qismat me ho judāī to kaise milāp ho
bahtī nadī ke donoṅ kināroṅ se pūchh lo

kuchh āṇsuoṅ se pūchh lo ulfat kī talkhiyāṇ
kuchh badansīb pyār ke māroṅ se pūchh lo