तुम चाँद के साथ चले आओ,
ये रात सुहानी हो जाये
कुछ तुम कह दो कुछ हम कह दें,
और एक कहानी हो जाये
तुम चाँद के साथ …
ख़ामोश किनारे सोये हैं,
चुप-चाप हैं नदिया की लेह्रें
इठलाते हुए तुम आ जाओ,
लहरों में रवानी हो जाये
तुम चाँद के साथ …
बीती हुई घड़ियों की यादें,
ऐसे में अगर हम दोहराएं
मासूम मोहब्बत मुसकाये,
बेदार जवानी हो जाये
तुम चाँद के साथ …
tum chāṇd ke sāth chale āo,
ye rāt suhānī ho jāye
kuchh tum kah do kuchh ham kah deṅ,
aur ek kahānī ho jāye
tum chāṇd ke sāth …
khāmośh kināre soye haiṅ,
chup-chāp haiṅ nadiyā kī lehreṅ
iṭhlāte hue tum ā jāo,
lahroṅ meṅ ravānī ho jāye
tum chāṇd ke sāth …
bītī huī ghaṛiyoṅ kī yādeṅ,
aise meṅ agar ham dohrāeṅ
māsūm mohabbat muskāye,
bedār javānī ho jāye
tum chāṇd ke sāth …