Tum bhee bhulaa do main bhee bhulaa doon

तुम भी भुला दो मैं भी भुला दूँ
Work
Year
Language

तुम भी भुला दो मैं भी भुला दूँ -2
प्यार पुराने ग़ुज़रे ज़माने -2
ग़ुज़रे ज़माने
तुम भी भुला दो

चाँदनी रातें और नदी किनारा
प्यार की बातें और प्यार हमारा
भूल सकें ना फिर भी भुला दें
बीत चुके हैं दिन जो सुहाने
ग़ुज़रे ज़माने
तुम भी भुला दो

गर अपना तुम्हें हम बना न सके
मत समझो ये प्रीत निभा ना सके
हम दुनिया से मजबूर हुये
तुम और भी हम से दूर हुये
दर्द ना जाना रीत ना समझी
यूँ लगे और अब तड़पाने
ग़ुज़रे ज़माने
तुम भी भुला दो मैं भी भुला दूँ

tum bhī bhulā do maiṅ bhī bhulā dūṇ -2
pyār purāne ġhuzre zamāne -2
ġhuzre zamāne
tum bhī bhulā do

chāṇdnī rāteṅ aur nadī kinārā
pyār kī bāteṅ aur pyār hamārā
bhūl sakeṅ nā phir bhī bhulā deṅ
bīt chuke haiṅ din jo suhāne
ġhuzre zamāne
tum bhī bhulā do

gar apnā tumheṅ ham banā na sake
mat samjho ye prīt nibhā nā sake
ham duniyā se majbūr huye
tum aur bhī ham se dūr huye
dard nā jānā rīt nā samjhī
yūṇ lage aur ab taṛpāne
ġhuzre zamāne
tum bhī bhulā do maiṅ bhī bhulā dūṇ