Tum arbon kaa her pher karne vaale ... savaa laakh kee laatree

तुम अरबों का हेर फेर करने वाले ... सवा लाख की लाटरी
Year
Language

तुम अरबों का हेर फेर करने वाले राम जी
सवा लाख की लाटरी भेजो अपने भी नाम जी

पैसे पैसे को जवानी मेरी तरसे
सोते सोते उठ जाऊँ बिस्तर से
कब जायेगी गरीबी मेरे घर से
तुम अरबों का …

कैसी प्यारी है ख़बर अख़बारों में
लक्ष्मी देवी होगी अपनी इशारों में
होगा बंगला हमारा भी सितारों में
तुम अरबों का …

ऐसी कड़की में ये बोझा दो जनों का
आधा-आधा हुआ थोड़े से चनों का
कभी आया न वो दिन सपनों का
तुम अरबों का …

tum arboṅ kā her pher karne vāle rām jī
savā lākh kī lāṭrī bhejo apne bhī nām jī

paise paise ko javānī merī tarse
sote sote uṭh jāūṇ bistar se
kab jāyegī garībī mere ghar se
tum arboṅ kā …

kaisī pyārī hai khabar akhbāroṅ meṅ
lakṣhmī devī hogī apnī iśhāroṅ meṅ
hogā baṅglā hamārā bhī sitāroṅ meṅ
tum arboṅ kā …

aisī kaṛkī meṅ ye bojhā do janoṅ kā
ādhā-ādhā huā thoṛe se chanoṅ kā
kabhī āyā na vo din sapnoṅ kā
tum arboṅ kā …