Tum agar saath dene kaa vaadaa karo

तुम अगर साथ देने का वादा करो
Work
Year
Language

तुम अगर साथ देने का वादा करो
मैं यूँही मस्त नग़मे लुटाता रहूं
तुम मुझे देखकर मुस्कुराती रहो
मैन तुम्हें देखकर गीत गाता रहूँ, तुम अगर्…

कितने जलवे फ़िज़ाओं में बिखरे मगर
मैने अबतक किसीको पुकरा नहीं
तुमको देखा तो नज़रें ये कहने लगीं
हमको चेहरे से हटना गवारा नहीं
तुम अगर मेरी नज़रों के आगे रहो
मैन हर एक शह से नज़रें चुराता रहूँ, तुम अगर्…

मैने ख़्वाबों में बरसों तराशा जिसे
तुम वही संग-ए-मरमर की तस्वीर हो
तुम न समझो तुम्हारा मुक़द्दर हूँ मैं
मैं समझता हूं तुम मेरी तक़दीर हो
तुम अगर मुझको अपना समझने लगो
मैं बहारों की महफ़िल सजाता रहूं, तुम अगर्…

मैं अकेला बहुत देर चलता रहा
अब सफ़र ज़िन्दगानी का कटता नहीं
जब तलक कोई रंगीं सहारा ना हो
वक़्त क़ाफ़िर जवानी का कटता नहीं
तुम अगर हमक़दम बनके चलती रहो
मैं ज़मीं पर सितारे बिछाता रहूं

तुम अगर साथ देने का वादा करो …

tum agar sāth dene kā vādā karo
maiṅ yūṇhī mast naġhme luṭātā rahūṅ
tum mujhe dekhkar muskurātī raho
main tumheṅ dekhkar gīt gātā rahūṇ, tum agar…

kitne jalve fizāoṅ meṅ bikhre magar
maine abtak kisīko pukrā nahīṅ
tumko dekhā to nazreṅ ye kahne lagīṅ
hamko chehre se haṭnā gavārā nahīṅ
tum agar merī nazroṅ ke āge raho
main har ek śhah se nazreṅ churātā rahūṇ, tum agar…

maine khvāboṅ meṅ barsoṅ tarāśhā jise
tum vahī saṅg-e-marmar kī tasvīr ho
tum na samjho tumhārā muqaddar hūṇ maiṅ
maiṅ samajhtā hūṅ tum merī taqdīr ho
tum agar mujhko apnā samajhne lago
maiṅ bahāroṅ kī mahafil sajātā rahūṅ, tum agar…

maiṅ akelā bahut der chaltā rahā
ab safar zindgānī kā kaṭtā nahīṅ
jab talak koī raṅgīṅ sahārā nā ho
vaqt qāfir javānī kā kaṭtā nahīṅ
tum agar hamaqdam banke chaltī raho
maiṅ zamīṅ par sitāre bichhātā rahūṅ

tum agar sāth dene kā vādā karo …