Tujhe itnaa pyaar karen ... aaj kahe too jitnaa

तुझे इतना प्यार करें ... आज कहे तू जितना
Year
Language

तुझे इतना प्यार करें तुझे कितना प्यार करें
आज कहे तू जितना हम तुझे उतना प्यार करें
तुझे इतना प्यार …

जब हम आँखें खोलें तेरा चेहरा सामने आए
जब हम पलकें बंद करें ख़्वाबों में तू मुस्काए
दुनिया की हर एक शै में तेरा दीदार करें
तुझे इतना प्यार …

हर मौसम हमको तेरी यादों का मौसम लगता है
तुझको जितना प्यार करें उतना ही कम लगता है
ये प्यार ना होगा कम आ जा इकरार करें
तुझे इतना प्यार …

फूलों और बहारों से हम डोली तेरी सजाएँगे
याद तेरी जब आएगी दिल को कैसे समझाएँगे
ममता से दुआओं से आ दामन तेरा भरें
तुझे इतना प्यार …

tujhe itnā pyār kareṅ tujhe kitnā pyār kareṅ
āj kahe tū jitnā ham tujhe utnā pyār kareṅ
tujhe itnā pyār …

jab ham āṇkheṅ kholeṅ terā chehrā sāmne āe
jab ham palkeṅ baṅd kareṅ khvāboṅ meṅ tū muskāe
duniyā kī har ek śhai meṅ terā dīdār kareṅ
tujhe itnā pyār …

har mausam hamko terī yādoṅ kā mausam lagtā hai
tujhko jitnā pyār kareṅ utnā hī kam lagtā hai
ye pyār nā hogā kam ā jā ikrār kareṅ
tujhe itnā pyār …

phūloṅ aur bahāroṅ se ham ḍolī terī sajāeṇge
yād terī jab āegī dil ko kaise samjhāeṇge
mamtā se duāoṅ se ā dāman terā bhareṅ
tujhe itnā pyār …