तूटेगी न प्यार की डोर, दुनिया चाहे लगा ले ज़ोर्
( टूटेगी न प्यार की डोर
दुनिया चाहे लगा ले ज़ोर
दिल की बताऊँ बालम दिल की बात बताऊँ
मैं दिल की बात बताऊँ ) -2
तेरी मुहोब्बत मेरी जवानी -2
मिल-मिल के छलकाये मस्ती
हो जग-मग है धरती का आँचल -2
झिल-मिल है आकाश की बस्ती
हो आकाश की बस्ती
तू है चन्दा मैं हूँ चकोर
मंज़िल अपनी गगन की ओर
तेरे पास मैं आऊँ बालम दिल की बात बताऊँ
मैं दिल की बात बताऊँ
झूम रही हैं मस्त उमंगें -2
दिल को मिला है दिल का सहारा
हो तू दीवाना मैं हूँ दिवानी -2
कोई न जाने भेद हमारा
हो भेद हमारा
तू है मेरे मन का मोर
सुन ले मेरे दिल के चोर
जीवन तुझ पे लुटाऊँ बालम दिल की बात बताऊँ
मैं दिल की बात बताऊँ
टूटेगी न प्यार की डोर
दुनिया चाहे लगा ले ज़ोर
दिल की बताऊँ बालम दिल की बताऊँ
मैं दिल की बताऊँ
( ṭūṭegī na pyār kī ḍor
duniyā chāhe lagā le zor
dil kī batāūṇ bālam dil kī bāt batāūṇ
maiṅ dil kī bāt batāūṇ ) -2
terī muhobbat merī javānī -2
mil-mil ke chhalkāye mastī
ho jag-mag hai dhartī kā āṇchal -2
jhil-mil hai ākāśh kī bastī
ho ākāśh kī bastī
tū hai chandā maiṅ hūṇ chakor
maṅzil apnī gagan kī or
tere pās maiṅ āūṇ bālam dil kī bāt batāūṇ
maiṅ dil kī bāt batāūṇ
jhūm rahī haiṅ mast umaṅgeṅ -2
dil ko milā hai dil kā sahārā
ho tū dīvānā maiṅ hūṇ divānī -2
koī na jāne bhed hamārā
ho bhed hamārā
tū hai mere man kā mor
sun le mere dil ke chor
jīvan tujh pe luṭāūṇ bālam dil kī bāt batāūṇ
maiṅ dil kī bāt batāūṇ
ṭūṭegī na pyār kī ḍor
duniyā chāhe lagā le zor
dil kī batāūṇ bālam dil kī batāūṇ
maiṅ dil kī batāūṇ