तूने प्रीत जो मुझसे जोड़ी मैने लोक लाज सब छोड़ी
तूने प्रीत जो मुझसे जोड़ी मैने लोक लाज सब छोड़ी
प्यार में तेरे पागल हुई रे प्यार में तेरे पागल हुई
तूने प्रीत जो मुझसे …
मैं मीरा तू मोहन मैं साया तू जीवन मेरे मितवा आजा
तूने प्रीत जो मुझसे जोड़ी मैने रीत रस्म सब तोड़ी
मन की नगरी में हलचल हुई रे
मेरे दिल की तू धड़कन तेरे दिल की मैं धड़कन
हर पल तेरे साथ रहूं मैं मेरे दिल की यही है तमन्ना
हो जग से भी मुझे क्या लेना है तू ही मेरी दुनिया
साथ गगन है साथ है सागर अपना साथ है सात जनम का
सात सुरों से भी है सुरीला गीत मेरे जीवन का
मेरे दिल की है यही तमन्ना
tūne prīt jo mujhse joṛī maine lok lāj sab chhoṛī
pyār meṅ tere pāgal huī re pyār meṅ tere pāgal huī
tūne prīt jo mujhse …
maiṅ mīrā tū mohan maiṅ sāyā tū jīvan mere mitvā ājā
tūne prīt jo mujhse joṛī maine rīt rasm sab toṛī
man kī nagrī meṅ halchal huī re
mere dil kī tū dhaṛkan tere dil kī maiṅ dhaṛkan
har pal tere sāth rahūṅ maiṅ mere dil kī yahī hai tamannā
ho jag se bhī mujhe kyā lenā hai tū hī merī duniyā
sāth gagan hai sāth hai sāgar apnā sāth hai sāt janam kā
sāt suroṅ se bhī hai surīlā gīt mere jīvan kā
mere dil kī hai yahī tamannā