Toone meraa doodh piyaa hai too bilkul mere jaisaa hai

तूने मेरा दूध पिया है तू बिल्कुल मेरे जैसा है
Year
Language

तूने मेरा दूध पिया है तू बिल्कुल मेरे जैसा है
तुझमें है खून मेरा तू बिल्कुल मेरे जैसा है

( माँ के लाड़ की तू है कहानी बाप के प्यार की तू है निशानी -2
हम दोनों का ध्यान तू रखना अपने घर की शान तू रखना
तू बेटे का फ़र्ज़ निभाना तुझे मैने जन्म दिया है
तू बिल्कुल मेरे जैसा है -2

अपने बचपन का है ये ज़माना याद तू रखना भूल न जाना
मेरे बुढ़ापे का तू है सहारा मेरी उम्मीदों का तू है सहारा
मेरे सारे काम तू करना
ऊँचा मेरा नाम तू करना तुझे मेरा नाम मिला है
तू बिल्कुल मेरे जैसा है -2

tūne merā dūdh piyā hai tū bilkul mere jaisā hai
tujhmeṅ hai khūn merā tū bilkul mere jaisā hai

( māṇ ke lāṛ kī tū hai kahānī bāp ke pyār kī tū hai niśhānī -2
ham donoṅ kā dhyān tū rakhnā apne ghar kī śhān tū rakhnā
tū beṭe kā farz nibhānā tujhe maine janm diyā hai
tū bilkul mere jaisā hai -2

apne bachapan kā hai ye zamānā yād tū rakhnā bhūl na jānā
mere buṛhāpe kā tū hai sahārā merī ummīdoṅ kā tū hai sahārā
mere sāre kām tū karnā
ūṇchā merā nām tū karnā tujhe merā nām milā hai
tū bilkul mere jaisā hai -2