Too pyaar kaa saagar hai, teree ek boond ke pyaase ham

तू प्यार का सागर है, तेरी एक बूंद के प्यासे हम
Work
Year
Language

तू प्यार का सागर है, तेरी एक बूँद के प्यासे हम
लौटा जो दिया तूने, चले जायेंगे जहां से हम

घायल मन का पागल पंछी उड़ने को बेकरार
पंख हैं कोमल, आँख है धुंदली, जाना है सागर पार
अब तू ही इसे समझा, राह भूले थे कहाँ से हम

इधर झूम के गाए जिन्दगी, उधर है मौत खडी
कोई क्या जाने कहाँ है सीमा, उलझन आन पडी
कानों में ज़रा कह दे के आए कौन दिशा से हम

tū pyār kā sāgar hai, terī ek būṇd ke pyāse ham
lauṭā jo diyā tūne, chale jāyeṅge jahāṅ se ham

ghāyal man kā pāgal paṅchhī uṛne ko bekrār
paṅkh haiṅ komal, āṇkh hai dhuṅdlī, jānā hai sāgar pār
ab tū hī ise samjhā, rāh bhūle the kahāṇ se ham

idhar jhūm ke gāe jindgī, udhar hai maut khaḍī
koī kyā jāne kahāṇ hai sīmā, uljhan ān paḍī
kānoṅ meṅ zarā kah de ke āe kaun diśhā se ham