Too naheen to jindgee men aur kyaa rah jaaegaa

तू नहीं तो जिंदगी में और क्या रह जाएगा
Work
Year
Language

तू नहीं तो जिन्दगी में और क्या रह जाएगा
दूर तक तनहईयों का सिलसिला रह जाएगा

दर्द की सारी तहें और सारे गुजरे हादसे
सब धुआँ हो जायेंगे, एक वाकिया रह जाएगा

यूँ भी होगा वो मुझे दिल से भूला देगा मगर
ये भी होगा खुद उसी में एक खला रह जाएगा

दायरे इन्कार के इकरार की सरगोशिया
ये अगर टूटे कभी तो फासला रह जाएगा

tū nahīṅ to jindgī meṅ aur kyā rah jāegā
dūr tak tanahaīyoṅ kā silsilā rah jāegā

dard kī sārī taheṅ aur sāre gujre hādse
sab dhuāṇ ho jāyeṅge, ek vākiyā rah jāegā

yūṇ bhī hogā vo mujhe dil se bhūlā degā magar
ye bhī hogā khud usī meṅ ek khalā rah jāegā

dāyre inkār ke ikrār kī sargośhiyā
ye agar ṭūṭe kabhī to phāslā rah jāegā