Too mile, dil khile, aur jeene ko kyaa chaaheee

तू मिले, दिल खिले, और जीने को क्या चाहीए
Work
Year
Language

तू मिले, दिल खिले, और जीने को क्या चाहीये
ना हो तू उदास तेरे पास पास मैं रहूँगा जिंदगीभर
सारे संसार का प्यार मैने तुझ ही में पाया

चंदा तुझे देखने को निकला करता है
आईना भी दीदार को तरसा करता है
इतनी हसीन कोई नहीं
हुस्न दोनों जहां का एक तुझ में सिमट के आया
तू मिले, दिल खिले, और जीने को क्या चाहीये

प्यार कभी मरता नहीं, हम तुम मरते हैं
होते हैं वो लोग अमर प्यार जो करते हैं
जितनी अदा, उतनी वफ़ा
एक नज़र प्यार से देख लो फिर से ज़िंदा कर दो
तू मिले, दिल खिले, और जीने को क्या चाहीये

tū mile, dil khile, aur jīne ko kyā chāhīye
nā ho tū udās tere pās pās maiṅ rahūṇgā jiṅdgībhar
sāre saṅsār kā pyār maine tujh hī meṅ pāyā

chaṅdā tujhe dekhne ko niklā kartā hai
āīnā bhī dīdār ko tarsā kartā hai
itnī hasīn koī nahīṅ
husn donoṅ jahāṅ kā ek tujh meṅ simaṭ ke āyā
tū mile, dil khile, aur jīne ko kyā chāhīye

pyār kabhī martā nahīṅ, ham tum marte haiṅ
hote haiṅ vo log amar pyār jo karte haiṅ
jitnī adā, utnī vafā
ek nazar pyār se dekh lo phir se ziṅdā kar do
tū mile, dil khile, aur jīne ko kyā chāhīye