Too kaun hai meraa kah de baalam paroon main tore painyaan

तू कौन है मेरा कह दे बालम पड़ूँ मैं तोरे पैंयाँ
Work
Year
Language

( तू कौन है मेरा कह दे बालम
पड़ूँ मैं तोरे पैंयाँ
ये बात भला मैं कैसे कहूँ
तू लागे मोआ सैंयाँ
तू लागे मोआ सैंयाँ
हो ) -2

भोले मन में कब तक रखूँ -2
चंचल भेद छिपाये
हो
चंचल भेद छिपाये
दिल की बात ज़ुबाँ तक आये
और कहीं ना आये
दिल की बात ज़ुबाँ तक आये
हो
और कहीं ना आये
तोहे देख पिया शरमाये जिया
अब नाहीं उमर लड़कैयाँ

ये बात भला मैं कैसे कहूँ
तू लागे मोआ सैंयाँ
तू लागे मोआ सैंयाँ
हो

हो प्रीत है महंगी इस दुनिया में
हाय प्रीत है महंगी
दिल के सौदे ससते
प्रीत है महंगी इस दुनिया में
दिल के सौदे ससते
मन का रस्ता एक है बालम -2
तन के लाखों रसते

तन के लाखों रसते
खो जइयो कहीं ना मिल के सजन
ये जग है भूलभुलैयाँ

ये बात भला मैं कैसे कहूँ
तू लागे मोआ सैंयाँ
तू लागे मोआ सैंयाँ
हो

तू कौन है मेरा कह दे बालम
पड़ूँ मैं तोरे पैंयाँ
ये बात भला मैं कैसे कहूँ
तू लागे मोआ सैंयाँ
तू लागे मोआ सैंयाँ
हो

( tū kaun hai merā kah de bālam
paṛūṇ maiṅ tore paiṅyāṇ
ye bāt bhalā maiṅ kaise kahūṇ
tū lāge moā saiṅyāṇ
tū lāge moā saiṅyāṇ
ho ) -2

bhole man meṅ kab tak rakhūṇ -2
chaṅchal bhed chhipāye
ho
chaṅchal bhed chhipāye
dil kī bāt zubāṇ tak āye
aur kahīṅ nā āye
dil kī bāt zubāṇ tak āye
ho
aur kahīṅ nā āye
tohe dekh piyā śharmāye jiyā
ab nāhīṅ umar laṛkaiyāṇ

ye bāt bhalā maiṅ kaise kahūṇ
tū lāge moā saiṅyāṇ
tū lāge moā saiṅyāṇ
ho

ho prīt hai mahaṅgī is duniyā meṅ
hāy prīt hai mahaṅgī
dil ke saude saste
prīt hai mahaṅgī is duniyā meṅ
dil ke saude saste
man kā rastā ek hai bālam -2
tan ke lākhoṅ raste
o
tan ke lākhoṅ raste
kho jaiyo kahīṅ nā mil ke sajan
ye jag hai bhūlbhulaiyāṇ

ye bāt bhalā maiṅ kaise kahūṇ
tū lāge moā saiṅyāṇ
tū lāge moā saiṅyāṇ
ho

tū kaun hai merā kah de bālam
paṛūṇ maiṅ tore paiṅyāṇ
ye bāt bhalā maiṅ kaise kahūṇ
tū lāge moā saiṅyāṇ
tū lāge moā saiṅyāṇ
ho