Too kaalaa main goree balam toree moree bhalaa ab

तू काला मैं गोरी बलम तोरी मोरी भला अब्
Year
Language

आ: तू काला मैं गोरी बलम तोरी मोरी भला अब कैसे जमेगी
र: जैसे चाँद-चकोरी पतंग और डोरी सदा अब ऐसे जमेगी
को: ओ अब ऐसे जमेगी …

आ: मैं अलबेली नार नवेली आई हूँ कोसों चल के
अंग-अंग से मस्ती टपके नैनन से मदिरा छलके
चलते राही रुक जाएँ जब आँचल मोरा ढलके
मुझसे आँख मिलाना हो तो आना रूप बदल के
को: ओ भला अब कैसे जमेगी …

र: ये दुनिया ये दुनिया वाले सबके सब हैं पाजी
दिलवालों के बीच में यूँ ही बन जाते हैं काजी
ना खेलें ना खेलनें दें बेकार बिगाड़ें बाज़ी
इन सबको चूल्हे में डालो तुम राज़ी हम राज़ी
को: ओ सदा अब ऐसे जमेगी …

आ: रुनझुन मोरा कंगना बाजे छुनछुन पायल बोले
इस पायल की छनन-छनन पर लाखों का दिल डोले
जहाँ भी जाऊँ दिलवालों का जमघट पीछे हो ले
कुछ शरमा के कुछ घबरा के दिल मोरा यूँ बोले
को: भला अब कैसे जमेगी …

ā: tū kālā maiṅ gorī balam torī morī bhalā ab kaise jamegī
ra: jaise chāṇd-chakorī pataṅg aur ḍorī sadā ab aise jamegī
ko: o ab aise jamegī …

ā: maiṅ albelī nār navelī āī hūṇ kosoṅ chal ke
aṅg-aṅg se mastī ṭapke nainan se madirā chhalke
chalte rāhī ruk jāeṇ jab āṇchal morā ḍhalke
mujhse āṇkh milānā ho to ānā rūp badal ke
ko: o bhalā ab kaise jamegī …

ra: ye duniyā ye duniyā vāle sabke sab haiṅ pājī
dilvāloṅ ke bīch meṅ yūṇ hī ban jāte haiṅ kājī
nā kheleṅ nā khelneṅ deṅ bekār bigāṛeṅ bāzī
in sabko chūlhe meṅ ḍālo tum rāzī ham rāzī
ko: o sadā ab aise jamegī …

ā: runjhun morā kaṅgnā bāje chhunchhun pāyal bole
is pāyal kī chhanan-chhanan par lākhoṅ kā dil ḍole
jahāṇ bhī jāūṇ dilvāloṅ kā jamghaṭ pīchhe ho le
kuchh śharmā ke kuchh ghabrā ke dil morā yūṇ bole
ko: bhalā ab kaise jamegī …