Too aa gaee ... dil kee tamannaa jaag uthee

तू आ गई ... दिल की तमन्ना जाग उठी
Year
Language

तू आ गई -4
laugh

तू आ गई -4
दिल की तमन्ना जाग उठी
हाँ जाग उठी
दिल की तमन्ना जाग उठी
ख़ाबों की दुनिया जाग उठी -2
हर शाख़ में फूल आ गई -2
फूलों में ख़ुश्बू आ गई
तू आ गई -4

होने लगे जंगल हरे -2
सहराओं के दामन भरे -2
रहमत की मतवाली घटा -2
बिखराये गेसू आ गई
तू आ गई -4

ख़ूँ लाल गाती हर तरफ़ -2
अमरित बहाती हर तरफ़ -2
यानी जगाती हर तरफ़ -2
क़िसमत का जादू आ गई
तू आ गई -6

tū ā gaī -4
laugh

tū ā gaī -4
dil kī tamannā jāg uṭhī
hāṇ jāg uṭhī
dil kī tamannā jāg uṭhī
khāboṅ kī duniyā jāg uṭhī -2
har śhākh meṅ phūl ā gaī -2
phūloṅ meṅ khuśhbū ā gaī
tū ā gaī -4

hone lage jaṅgal hare -2
sahrāoṅ ke dāman bhare -2
rahmat kī matvālī ghaṭā -2
bikhrāye gesū ā gaī
tū ā gaī -4

khūṇ lāl gātī har taraf -2
amrit bahātī har taraf -2
yānī jagātī har taraf -2
qismat kā jādū ā gaī
tū ā gaī -6