Tohe saavreeyaan, naahee khabreeyaan

तोहे सावरीयाँ, नाही खबरीयाँ
Work
Year
Language

तोहे सावरीयाँ, नाही खबरीयाँ
तुमरे कारन अपने देस में बलम
हम हो गए परदेसी

न जाने कौनसा अपना आंगना, कौनसी अटरीयाँ
अपने ही गांव के गलियों में भूले फिरते हैं हम डगरीयाँ
आओ, घर अपने हमे छोड जाओ, के हम हो गए परदेसी

ये दुनिया, लाज, सपनें, दिल, चैन, निंदीयाँ, प्यार, जवानी
अपना क्या रह गया, तुमरे नाम कर दी जब जिंदगानी
हाए, सब अपने हमे बहोत याद आए, के हम हो गए परदेसी

tohe sāvrīyāṇ, nāhī khabrīyāṇ
tumre kāran apne des meṅ balam
ham ho gae pardesī

na jāne kaunsā apnā āṅgnā, kaunsī aṭrīyāṇ
apne hī gāṅv ke galiyoṅ meṅ bhūle phirte haiṅ ham ḍagrīyāṇ
āo, ghar apne hame chhoḍ jāo, ke ham ho gae pardesī

ye duniyā, lāj, sapneṅ, dil, chain, niṅdīyāṇ, pyār, javānī
apnā kyā rah gayā, tumre nām kar dī jab jiṅdgānī
hāe, sab apne hame bahot yād āe, ke ham ho gae pardesī