Thodee see jameen, thoraa aasmaan

थोडी सी जमीं, थोड़ा आसमाँ
Work
Year
Language

थोडी सी जमीं, थोड़ा आसमाँ
तिनकों का बस एक आशियाँ

माँगा है जो तुम से वो ज्यादा तो नहीं है
देने को तो जान दे दे, वादा तो नहीं है
कोई तेरे वादों पे जीता है कहाँ

मेरे घर के आँगन में छोटा सा झूला हो
सोंधी सोंधी मिट्टी होगी, लेपा हुआ चूल्हा हो
थोड़ी थोड़ी आग होगी, थोड़ा सा धुआँ

रात कट जायेगी तो कैसे दिन बिताएंगे
बाजरे के खेतों में कौए उड़ायेंगे
बाजरे के सिट्टों जैसे, बेटे हो जवान

thoḍī sī jamīṅ, thoṛā āsmāṇ
tinkoṅ kā bas ek āśhiyāṇ

māṇgā hai jo tum se vo jyādā to nahīṅ hai
dene ko to jān de de, vādā to nahīṅ hai
koī tere vādoṅ pe jītā hai kahāṇ

mere ghar ke āṇgan meṅ chhoṭā sā jhūlā ho
soṅdhī soṅdhī miṭṭī hogī, lepā huā chūlhā ho
thoṛī thoṛī āg hogī, thoṛā sā dhuāṇ

rāt kaṭ jāyegī to kaise din bitāeṅge
bājre ke khetoṅ meṅ kaue uṛāyeṅge
bājre ke siṭṭoṅ jaise, beṭe ho javān