Teree yaad kaa deepak jaltaa hai

तेरी याद का दीपक जलता है
Work
Year
Language

तेरी याद का दीपक जलता है दिन रात मेरे वीराने में
वो पागलपन जो पहले था अब भी है तेरे दीवाने में

दिन रात मेरा ग़म बढ़ता गया पर तेरी मुहब्बत कम न हुई
जो लुत्फ़ तड़पने में पाया वो बात कहाँ मर जाने में

इक आग सुलगती रहती है हर वक़्त मेरा दिल जलता है
है शौक़ मगर कुछ और अभी जलने का तेरे परवाने में

terī yād kā dīpak jaltā hai din rāt mere vīrāne meṅ
vo pāgalpan jo pahle thā ab bhī hai tere dīvāne meṅ

din rāt merā ġham baṛhtā gayā par terī muhabbat kam na huī
jo lutf taṛapne meṅ pāyā vo bāt kahāṇ mar jāne meṅ

ik āg sulagtī rahtī hai har vaqt merā dil jaltā hai
hai śhauq magar kuchh aur abhī jalne kā tere parvāne meṅ