Teree ummeed teraa intazaar ... ai sanam ham to sirf tumse pyaar karte hain

तेरी उम्मीद तेरा इंतज़ार ... ऐ सनम हम तो सिर्फ़ तुमसे प्यार करते हैं
Work
Year
Language

तेरी उम्मीद तेरा इंतज़ार करते हैं
ऐ सनम हम तो सिर्फ़ तुमसे प्यार करते हैं

जान-ए-मन हम भी तुझपे जां निसार करते हैं
ऐ सनम हम तो सिर्फ़ …

ख्वाब आँखों में अब नहीं आते
अब तो पलकों में तुम समाए हो
हर घड़ी साथ साथ रहते हो
दिल की दुनिया में घर बसाए हो
तेरी हर बात पे हम एतबार करते हैं
ऐ सनम हम तो सिर्फ़ …

हम को जिसकी थी तलाश वो हो तुम
खुश्बू साँसों की दिल की प्यास हो तुम
तेरे आशिक़ तेरे दीवाने हैं
सारी दुनिया से हम बेगाने हैं
जान हम प्यार तुम्हें बेशुमार करते हैं
ऐ सनम हम तो सिर्फ़ …

terī ummīd terā iṅtazār karte haiṅ
ai sanam ham to sirf tumse pyār karte haiṅ

jān-e-man ham bhī tujhpe jāṅ nisār karte haiṅ
ai sanam ham to sirf …

khvāb āṇkhoṅ meṅ ab nahīṅ āte
ab to palkoṅ meṅ tum samāe ho
har ghaṛī sāth sāth rahte ho
dil kī duniyā meṅ ghar basāe ho
terī har bāt pe ham etbār karte haiṅ
ai sanam ham to sirf …

ham ko jiskī thī talāśh vo ho tum
khuśhbū sāṇsoṅ kī dil kī pyās ho tum
tere āśhiq tere dīvāne haiṅ
sārī duniyā se ham begāne haiṅ
jān ham pyār tumheṅ beśhumār karte haiṅ
ai sanam ham to sirf …