Teree mahafil men dil thaame teraa deevaanaa aataa hai

तेरी महफ़िल में दिल थामे तेरा दीवाना आता है
Work
Year
Language

तेरी महफ़िल में दिल थामे तेरा दीवाना आता है -2
ठहर ( ओ शमा जलने के लिए ) -2 परवाना आता है
तेरी महफ़िल में दिल …

बहकता लड़खड़ाता झूमता तेरी मोहब्बत में -2
तेरी मोहब्बत में
क़फ़न बाँधे हुए चल के तेरा मस्ताना आता है
तेरी महफ़िल में दिल …

ख़बर ले अपने दिल की दिल हमारा तोड़ने वाले -2
दिल तोड़ने वाले
के शीशे को हमें पत्थर से भी टकराना आता है
तेरी महफ़िल में दिल …

terī mahafil meṅ dil thāme terā dīvānā ātā hai -2
ṭhahar ( o śhamā jalne ke lie ) -2 parvānā ātā hai
terī mahafil meṅ dil …

bahaktā laṛkhaṛātā jhūmtā terī mohabbat meṅ -2
terī mohabbat meṅ
qafan bāṇdhe hue chal ke terā mastānā ātā hai
terī mahafil meṅ dil …

khabar le apne dil kī dil hamārā toṛne vāle -2
dil toṛne vāle
ke śhīśhe ko hameṅ patthar se bhī ṭakrānā ātā hai
terī mahafil meṅ dil …