तेरी हस्ती है क्या जो मिटाएगा ... सर गरीबों का तू क्या झुकाएगा
तेरी हस्ती है क्या जो मिटाएगा
सर गरीबों का तू क्या झुकाएगा क्या झुकाएगा
साँस जब तक है हम तो नाचेंगे
आस जब तक है हम तो नाचेंगे
जिसने पैदा किया वो बचाएगा
सर गरीबों का …
अपने घुंघरू की कसम नाचते जाएंगे हम
जान जाए के रहे अब न रोकेंगे कदम
लागी तन मन में अगन अब ये फैलेगी जलन
काँप जाएगी ज़मीन सर झुका देगा गगन
ग़म उठाना लिखा है मुक़द्दर में
दिल जलाना लिखा है मुक़द्दर में
इसकी मर्जी है क्या तू नचाएगा
सर गरीबों का …
तेरे सर पे चढ़ा झूठी ताकत का नशा
तुझको मालूम नहीं हाल क्या होगा तेरा
है तेरा नाम बुरा है तेरा काम बुरा
याद रख होगा यहीं तेरा अंजाम बुरा
खाली जाता नहीं वार आहों का
तुझको बदला मिलेगा गुनाहों का
नाव कागज़ की कब तक चलाएगा
सर गरीबों का …
खून बहता है जहां आग लगती है वहां
आज ज़ुल्मों का तेरे फ़ैसला होगा यहां
बच के जाएगा न तू चैन पाएगा न तू
रंग लाता है सदा बेगुनाहों का लहू
आसमां वाला इंसाफ़ करता है
जिसने जैसा किया वैसा भरता है
घर का दीपक ही घर को जलाएगा
सर गरीबों का …
terī hastī hai kyā jo miṭāegā
sar garīboṅ kā tū kyā jhukāegā kyā jhukāegā
sāṇs jab tak hai ham to nācheṅge
ās jab tak hai ham to nācheṅge
jisne paidā kiyā vo bachāegā
sar garīboṅ kā …
apne ghuṅghrū kī kasam nāchte jāeṅge ham
jān jāe ke rahe ab na rokeṅge kadam
lāgī tan man meṅ agan ab ye phailegī jalan
kāṇp jāegī zamīn sar jhukā degā gagan
ġham uṭhānā likhā hai muqaddar meṅ
dil jalānā likhā hai muqaddar meṅ
iskī marjī hai kyā tū nachāegā
sar garīboṅ kā …
tere sar pe chaṛhā jhūṭhī tākat kā naśhā
tujhko mālūm nahīṅ hāl kyā hogā terā
hai terā nām burā hai terā kām burā
yād rakh hogā yahīṅ terā aṅjām burā
khālī jātā nahīṅ vār āhoṅ kā
tujhko badlā milegā gunāhoṅ kā
nāv kāgaz kī kab tak chalāegā
sar garīboṅ kā …
khūn bahtā hai jahāṅ āg lagtī hai vahāṅ
āj zulmoṅ kā tere faislā hogā yahāṅ
bach ke jāegā na tū chain pāegā na tū
raṅg lātā hai sadā begunāhoṅ kā lahū
āsmāṅ vālā iṅsāf kartā hai
jisne jaisā kiyā vaisā bhartā hai
ghar kā dīpak hī ghar ko jalāegā
sar garīboṅ kā …