Tere pyaar ne mujhe gham diyaa tere gham kee umr daraaz ho

तेरे प्यार ने मुझे ग़म दिया तेरे ग़म की उम्र दराज़ हो
Year
Language

तेरे प्यार ने मुझे ग़म दिया तेरे ग़म की उम्र दराज़ हो
वो ज़माना आए ख़ुदा करे मेरे प्यार पर तुझे नाज़ हो
तेरे प्यार ने मुझे …

मेरा प्यार लूटने वाले जा तू तमाम उम्र जवाँ रहे
तेरी ज़िन्दगी में फ़िज़ाँ रहे
मेरे साथ हो मेरी बेबसी तेरे साथ नग़मा-ओ-साज़ हो
तेरे प्यार ने मुझे …

कहीं और चल मेरे दिल यहाँ कभी लौट कर नहीं आएँगे
मिली दिल लगाने कि वो सज़ा के कहीं भी दिल न लगाएँगे
उसे क्‌या पता कि वफ़ा है क्‌या जिसे बेवफ़ाई पे नाज़ हो
तेरे प्यार ने मुझे …

tere pyār ne mujhe ġham diyā tere ġham kī umr darāz ho
vo zamānā āe khudā kare mere pyār par tujhe nāz ho
tere pyār ne mujhe …

merā pyār lūṭne vāle jā tū tamām umr javāṇ rahe
terī zindgī meṅ fizāṇ rahe
mere sāth ho merī bebsī tere sāth naġhmā-o-sāz ho
tere pyār ne mujhe …

kahīṅ aur chal mere dil yahāṇ kabhī lauṭ kar nahīṅ āeṇge
milī dil lagāne ki vo sazā ke kahīṅ bhī dil na lagāeṇge
use k‌yā patā ki vafā hai k‌yā jise bevafāī pe nāz ho
tere pyār ne mujhe …