Tere naaz uthaane ko jee chaahtaa hai

तेरे नाज़ उठाने को जी चाहता है
Work
Year
Language

मु: तेरे नाज़ उठाने को जी चाहता है
तुझे ढूँढ लाने को जी चाहता है

श: गए दिन बुलाने को जी चाहता है
वफ़ा आजमाने को जी चाहता है

मु: क़सम है तुझे दिल की दुनिया में आ जा
ये दुनिया बसाने को जी चाहता है

श: जहाँ दिल ने कुछ दिल से हँस कर कहा था
वहीं लौट जाने को जी चाहता है

मु: मोहब्बत में आता है ऐसा भी एक दिन
जब आँसू बहाने को जी चाहता है
श: वफ़ा आजमाने को …

mu: tere nāz uṭhāne ko jī chāhtā hai
tujhe ḍhūṇḍh lāne ko jī chāhtā hai

śha: gae din bulāne ko jī chāhtā hai
vafā ājmāne ko jī chāhtā hai

mu: qasam hai tujhe dil kī duniyā meṅ ā jā
ye duniyā basāne ko jī chāhtā hai

śha: jahāṇ dil ne kuchh dil se hṇs kar kahā thā
vahīṅ lauṭ jāne ko jī chāhtā hai

mu: mohabbat meṅ ātā hai aisā bhī ek din
jab āṇsū bahāne ko jī chāhtā hai
śha: vafā ājmāne ko …