Tere mere beech men kaisaa hai ye bandhan anjaanaa

तेरे मेरे बीच में कैसा है ये बन्धन अंजाना
Year
Language

लता: ओ, तेरे मेरे बीच में -2
कैसा है यह बन्धन अंजाना -3
मैंने नहीं जाना, तूने नहीं जाना -2
तेरे मेरे बीच में …

एक डोर खींचे दूजा दौड़ा चला आए -2
कच्चे धागे में बंधा चला आए
ऐसे जैसे कोई …
ऐसे जैसे कोई, दीवाना -2
मैंने नहीं जाना, तूने नहीं जाना
तेरे मेरे बीच में …

एस पी: हो हो आपड़िया

लता: हा हा जैसे सब समझ गया

पहनूँगी मैं तेरे हाथों से कंगना -2
जाएगी मेरी डोली तेरे ही अंगना
चाहे कुछ कर ले …
चाहे कुछ कर ले, ज़माना -2
मैंने नहीं जाना, तूने नहीं जाना
तेरे मेरे बीच में …

एस पी: नी रोम्बा अड़गा इरुक्‌के

लता: रम्बा? ये रम्बा-मम्बा क्‌या है?

इतनी ज़ुबानें बोलें लोग हमजोली -2
दुनिया में प्यार की एक है बोली
बोले जो शमा …
बोले जो शमा, पर्वाना -2
मैंने नहीं जाना, तूने नहीं जाना

एस पी: परवा इल्लये नल्ला पादरा

लता: क्‌या?

कैसा है यह बन्धन अंजाना
मैंने नहीं जाना, तूने नहीं जाना
तेरे मेरे बीच में …

Slow Version
तेरे मेरे बीच में कैसा है ये बन्धन अन्जाना
मैं ने नहीं जाना, तू ने नहीं जाना

एक डोर खींचे दूजा दौड़ा चला आए -2
कच्चे धागे में बंधा चला आए
ऐसे जैसे कोई …
ऐसे जैसे कोई, दीवाना -2
मैंने नहीं जाना, तूने नहीं जाना
तेरे मेरे बीच में …

नींद न आये मुझे चैन न आये
लाख जतन कर रोक न पाये
सपनों में तेरा
ओ, सप्नों में तेरा आना जाना
मैं ने नहीं जाना, तू ने नहीं जाना
तेरे मेरे बीच में …

latā: o, tere mere bīch meṅ -2
kaisā hai yah bandhan aṅjānā -3
maiṅne nahīṅ jānā, tūne nahīṅ jānā -2
tere mere bīch meṅ …

ek ḍor khīṅche dūjā dauṛā chalā āe -2
kachche dhāge meṅ baṅdhā chalā āe
aise jaise koī …
aise jaise koī, dīvānā -2
maiṅne nahīṅ jānā, tūne nahīṅ jānā
tere mere bīch meṅ …

es pī: ho ho āpaṛiyā

latā: hā hā jaise sab samajh gayā

pahnūṇgī maiṅ tere hāthoṅ se kaṅgnā -2
jāegī merī ḍolī tere hī aṅgnā
chāhe kuchh kar le …
chāhe kuchh kar le, zamānā -2
maiṅne nahīṅ jānā, tūne nahīṅ jānā
tere mere bīch meṅ …

es pī: nī rombā aṛgā iruk‌ke

latā: rambā? ye rambā-mambā k‌yā hai?

itnī zubāneṅ boleṅ log hamjolī -2
duniyā meṅ pyār kī ek hai bolī
bole jo śhamā …
bole jo śhamā, parvānā -2
maiṅne nahīṅ jānā, tūne nahīṅ jānā

es pī: parvā illye nallā pādrā

latā: k‌yā?

kaisā hai yah bandhan aṅjānā
maiṅne nahīṅ jānā, tūne nahīṅ jānā
tere mere bīch meṅ …

Slow Version
tere mere bīch meṅ kaisā hai ye bandhan anjānā
maiṅ ne nahīṅ jānā, tū ne nahīṅ jānā

ek ḍor khīṅche dūjā dauṛā chalā āe -2
kachche dhāge meṅ baṅdhā chalā āe
aise jaise koī …
aise jaise koī, dīvānā -2
maiṅne nahīṅ jānā, tūne nahīṅ jānā
tere mere bīch meṅ …

nīṅd na āye mujhe chain na āye
lākh jatan kar rok na pāye
sapnoṅ meṅ terā
o, sapnoṅ meṅ terā ānā jānā
maiṅ ne nahīṅ jānā, tū ne nahīṅ jānā
tere mere bīch meṅ …