Tere lie laayaa hoon main laal laal chooriyaan

तेरे लिए लाया हूँ मैं लाल लाल चूड़ियां
Year
Language

तेरे लिए लाया हूँ मैं लाल लाल चूड़ियां
सजेंगी कलाइयों पे प्यार की ये चूड़ियां

मुझको पसन्द हैं ये लाल लाल चूड़ियां
पहनूंगी प्यार से मैं यार की चूड़ियां
तेरे लिए लाया …

घर जाएगी तू मुझसे मिलने के बाद रे
ये जब छनकेंगी आएगी मेरी याद रे
अपने प्यार के इकरार की ये चूड़ियां
मुझको पसन्द हैं …

लाय तू जैसे ये तोहफ़ा अपने साथ रे
मेरे घर लाना यूं ही एक दिन बारात रे
मेरे लिए तो ऐतबार की ये चूड़ियां
तेरे लिए लाया …

tere lie lāyā hūṇ maiṅ lāl lāl chūṛiyāṅ
sajeṅgī kalāiyoṅ pe pyār kī ye chūṛiyāṅ

mujhko pasand haiṅ ye lāl lāl chūṛiyāṅ
pahnūṅgī pyār se maiṅ yār kī chūṛiyāṅ
tere lie lāyā …

ghar jāegī tū mujhse milne ke bād re
ye jab chhankeṅgī āegī merī yād re
apne pyār ke ikrār kī ye chūṛiyāṅ
mujhko pasand haiṅ …

lāy tū jaise ye tohafā apne sāth re
mere ghar lānā yūṅ hī ek din bārāt re
mere lie to aitbār kī ye chūṛiyāṅ
tere lie lāyā …