Tere dar pe aayaa hoon fariyaad le kar

तेरे दर पे आया हूँ फ़रियाद ले कर्
Work
Year
Language

तेरे दर पे आया हूँ फ़रियाद ले कर
ज़ुबाँ पर ग़म-ए-दिल की रूदाद ले कर
तेरे दर पे आया …

परेशान है दिल घड़ी भर को आ जा
ज़रा मेरी सुन जा और अपनी सुना जा
कहाँ जाऊँ मैं हाल-ए-बरबाद ले कर
तेरे दर पे आया …

मेरे दर्द-ए-दिल से नहीं बेखबर तू
बने मेरी क़िसमत जो कर दे नज़र तू
मुहब्बत के नाकामियाँ छा रहें हैं
उम्मीदों की कलियाँ मुरझा गयीं हैं
कहीं मर न जाऊँ तेरी याद ले कर
तेरे दर पे आया …

tere dar pe āyā hūṇ fariyād le kar
zubāṇ par ġham-e-dil kī rūdād le kar
tere dar pe āyā …

pareśhān hai dil ghaṛī bhar ko ā jā
zarā merī sun jā aur apnī sunā jā
kahāṇ jāūṇ maiṅ hāl-e-barbād le kar
tere dar pe āyā …

mere dard-e-dil se nahīṅ bekhabar tū
bane merī qismat jo kar de nazar tū
muhabbat ke nākāmiyāṇ chhā raheṅ haiṅ
ummīdoṅ kī kaliyāṇ murjhā gayīṅ haiṅ
kahīṅ mar na jāūṇ terī yād le kar
tere dar pe āyā …