Teraa jalvaa jisne dekhaa, vo teraa ho gayaa

तेरा जलवा जिसने देखा, वो तेरा हो गया
Work
Year
Language

तेरा जलवा जिसने देखा, वो तेरा हो गया
मैं हो गयी किसी की, कोई मेरा हो गया
क्या देखा था तुझ में, दिल तेरा हो गया
ये सोचते ही सोचते, सवेरा हो गया

है मुझ में भी ऐसा, अनोखा सा जादू
जो देखे वो होता हैं, दिल से बेकाबू
लगे तोसे नैना, तो नैना ना लागे
ख़यालों में डूबी हूँ तेरे, ओ बाबू
तू आया तो महफ़िल में उजाला हो गया

तेरी एक झलक ने वो हालत बना दी
मेरे तनबदन में मोहब्बत जगा दी
कभी भूलकर आ इधर बहते पानी
किनारे पे रहती हूँ, फिर भी मैं प्यासी
अब दिल का क्यो करे गम गया सो गया

बुलाती है तुझको ये आँचल की छैया
ज़रा मुस्कुरा दे, पडूं तोरे पैय्या
कसम है तुझे दिल की जान-ए-तमन्ना
तुझे हमने माना है अपना ही सैय्या
मैं अकेली और तेरा जमाना हो गया

terā jalvā jisne dekhā, vo terā ho gayā
maiṅ ho gayī kisī kī, koī merā ho gayā
kyā dekhā thā tujh meṅ, dil terā ho gayā
ye sochte hī sochte, saverā ho gayā

hai mujh meṅ bhī aisā, anokhā sā jādū
jo dekhe vo hotā haiṅ, dil se bekābū
lage tose nainā, to nainā nā lāge
khayāloṅ meṅ ḍūbī hūṇ tere, o bābū
tū āyā to mahafil meṅ ujālā ho gayā

terī ek jhalak ne vo hālat banā dī
mere tanabdan meṅ mohabbat jagā dī
kabhī bhūlkar ā idhar bahte pānī
kināre pe rahtī hūṇ, phir bhī maiṅ pyāsī
ab dil kā kyo kare gam gayā so gayā

bulātī hai tujhko ye āṇchal kī chhaiyā
zarā muskurā de, paḍūṅ tore paiyyā
kasam hai tujhe dil kī jān-e-tamannā
tujhe hamne mānā hai apnā hī saiyyā
maiṅ akelī aur terā jamānā ho gayā