Teraa chehraa mujhe gulaab lage

तेरा चेहरा मुझे गुलाब लगे
Year
Language

तेरा चेहरा मुझे गुलाब लगे
दोनो आलम में लाजवाब लगे
दिन को देखूं तो आफ़ताब लगे
शब को देखूं तो माहताब लगे

रोज़ मिलते हो पर नहीं मिलते
ऐसा मिलना भी मुझको ख्वाब लगे
पढ़ता रहता हूँ तेरी सूरत को
तेरी सूरत मुझे किताब लगे
तेरा चेहरा मुझे…

तेरी आँखों की मस्तियां तौबा
मुझको छलकी हुई शराब लगे
जब भी चमके घटा में बिजली
मुझको तेरा ही वो शबाब लगे
तेरा चेहरा मुझे…

तुझको देखूं तो किस तरह देखूं
रुख पे किरणों के सौ नक़ाब लगे
प्यार शायद इसी को कहते हैं
एक मुझसे ही क्‌यूँ हिजाब लगे
तेरा चेहरा मुझे…

terā chehrā mujhe gulāb lage
dono ālam meṅ lājvāb lage
din ko dekhūṅ to āftāb lage
śhab ko dekhūṅ to māhtāb lage

roz milte ho par nahīṅ milte
aisā milnā bhī mujhko khvāb lage
paṛhtā rahtā hūṇ terī sūrat ko
terī sūrat mujhe kitāb lage
terā chehrā mujhe…

terī āṇkhoṅ kī mastiyāṅ taubā
mujhko chhalkī huī śharāb lage
jab bhī chamke ghaṭā meṅ bijlī
mujhko terā hī vo śhabāb lage
terā chehrā mujhe…

tujhko dekhūṅ to kis tarah dekhūṅ
rukh pe kirṇoṅ ke sau naqāb lage
pyār śhāyad isī ko kahte haiṅ
ek mujhse hī k‌yūṇ hijāb lage
terā chehrā mujhe…