Teer khaate jaaenge, aansoo bahaate jaaenge

तीर खाते जाएंगे, आँसू बहाते जाएंगे
Work
Year
Language

ओ तीर चलानेवाले

तीर खाते जाएंगे, आँसू बहाते जाएंगे
ज़िंदगी भर अपनी क़िस्मत आज़माते जाएंगे
तीर खाते जाएंगे, आँसू बहाते जाएंगे

दिल का शीशा तोड़नेवाले किए जा तू सितम
अपनी बर्बादी का शिकवा लब पे लाएंगे न हम
तू जो ग़म देगा कलेजे से लगाते जाएंगे
तीर खाते …

बे-असर होते नहीं आँसू किसी नाकाम के
तुझको भी रोना पड़ेगा एक दिन दिल थाम के
दर्द बनके हम तेरे दिल में समाते जाएंगे
तीर खाते …

o tīr chalānevāle

tīr khāte jāeṅge, āṇsū bahāte jāeṅge
ziṅdgī bhar apnī qismat āzmāte jāeṅge
tīr khāte jāeṅge, āṇsū bahāte jāeṅge

dil kā śhīśhā toṛnevāle kie jā tū sitam
apnī barbādī kā śhikvā lab pe lāeṅge na ham
tū jo ġham degā kaleje se lagāte jāeṅge
tīr khāte …

be-asar hote nahīṅ āṇsū kisī nākām ke
tujhko bhī ronā paṛegā ek din dil thām ke
dard banke ham tere dil meṅ samāte jāeṅge
tīr khāte …