Tasveer banaataa hoon, tasveer naheen bantee

तस्वीर बनाता हूँ, तस्वीर नहीं बनती
Work
Year
Language

तस्वीर बनाता हूँ, तस्वीर नहीं बनती
एक ख्वाब सा देखा है, ताबीर नहीं बनती

बेदर्द मोहब्बत का इतना सा है अफ़साना
नज़रों से मिली नज़रें, मैं हो गया दीवाना
अब दिल के बहलने की तदबीर नहीं बनती

दम भर के लिए मेरी दुनिया में चले आओ
तरसी हुई आखों को फिर शक्ल दिखा जाओ
मुझ से तो मेरी बिगड़ी तकदीर नहीं बनती

tasvīr banātā hūṇ, tasvīr nahīṅ bantī
ek khvāb sā dekhā hai, tābīr nahīṅ bantī

bedard mohabbat kā itnā sā hai afsānā
nazroṅ se milī nazreṅ, maiṅ ho gayā dīvānā
ab dil ke bahalne kī tadbīr nahīṅ bantī

dam bhar ke lie merī duniyā meṅ chale āo
tarsī huī ākhoṅ ko phir śhakl dikhā jāo
mujh se to merī bigaṛī takdīr nahīṅ bantī