Tark-e-ulfat kaa silaa paa bhee liyaa hai main ne

तर्क-ए-उल्फ़त का सिला पा भी लिया है मैं ने
Year
Language

तर्क-ए-उल्फ़त का सिला पा भी लिया है मैं ने
अब तो आजा के तुझे याद किया है मैं ने
अब तो आ जा

(आ सकी तेरी जुदाई न कभी रास मुझे)-2
तुझ से बिछड़ा तो ये होने लगा एहसास मुझे
अपने हाथों से कोई ज़हर पिया है मैं ने
अब तो आ जा

(गुनगुनाती है वफ़ा रूह में रिम्झिम की तरह)-2
सामने अपने खड़ा हूँ किसी मुजरिम की तरह
आज तो शरम से मूँह ढांप लिया है मैं ने
अब तो आ जा

(जो भी शिकवा है भुलाना ही पड़ेगा तुझको)-2
इक न इक रोज़ तो आना ही पड़ेगा तुझको
दिल क दरवाज़ा खुला छोड़ दिया है मैं ने
अब तो आजा के तुझे याद किया है मैं ने
अब तो आ जा

tark-e-ulfat kā silā pā bhī liyā hai maiṅ ne
ab to ājā ke tujhe yād kiyā hai maiṅ ne
ab to ā jā

(ā sakī terī judāī na kabhī rās mujhe)-2
tujh se bichhaṛā to ye hone lagā ehsās mujhe
apne hāthoṅ se koī zahar piyā hai maiṅ ne
ab to ā jā

(gungunātī hai vafā rūh meṅ rimjhim kī tarah)-2
sāmne apne khaṛā hūṇ kisī mujrim kī tarah
āj to śharam se mūṇh ḍhāṅp liyā hai maiṅ ne
ab to ā jā

(jo bhī śhikvā hai bhulānā hī paṛegā tujhko)-2
ik na ik roz to ānā hī paṛegā tujhko
dil ka darvāzā khulā chhoṛ diyā hai maiṅ ne
ab to ājā ke tujhe yād kiyā hai maiṅ ne
ab to ā jā