तड़प ऐ दिल तऽपने से ज़रा आराम आता है
तड़प ऐ दिल तऽपने से ज़रा आराम आता है
कि लब पर हर तड़प के साथ उनका नाम आता है
जिसे सुन कर मेरी दुनिया खुशी से झूम उठती थी
न वो आवाज़ आती है न वो पैग़ाम आता है
तुझे मैं क्या बताऊँ किस तरह तुझ को ये समझाऊँ
तेरे आने से इस दिल को बड़ा आराम आता है
लगा ले ज़ोर ये दुनिया न बदलेगी वफ़ा अपनी
बदल जाये वफ़ा तो इश्क़ पर इल्ज़ाम आता है
taṛap ai dil ta'pne se zarā ārām ātā hai
ki lab par har taṛap ke sāth unkā nām ātā hai
jise sun kar merī duniyā khuśhī se jhūm uṭhtī thī
na vo āvāz ātī hai na vo paiġhām ātā hai
tujhe maiṅ kyā batāūṇ kis tarah tujh ko ye samjhāūṇ
tere āne se is dil ko baṛā ārām ātā hai
lagā le zor ye duniyā na badlegī vafā apnī
badal jāye vafā to iśhq par ilzām ātā hai